Taneja mansion
Breakfast table
Raghav: Kunal! What about Sarna’s deal
Kunal: Papa! We have mailed them the details. We are waiting for reply.
Raghav: Ek baat mat bhoolna. Ab tak business mein samhalta raha. Par ab se humaara goroor, humaara izzat, sab kuch tumhaare kandhon pe hai. So, play safe and play carefully.
Kunal: Ji.
Sarna mansion
Kunj: Maa aaj mein us se personally milke baat karnewala hu
Usha: theek hai.
Kunj msging to somebody: Let’s meet for lunch at Ohri’s café. We should talk something important.
Twinkle gets the message: Ok. I will reach Ohri’s café by 1:00 PM.
Kunj reply: Ok.
Raghav: Twinkle! Kya kar rahi ho. Phone side pe rakho aur breakfast karo.
Leela: Pata nahi aaj kal yeh ladki kya soch rahi hai. Hamesha phone mein lagi rahti hai.
After breakfast Kunal came to twinkle’s room
Kunal: Kis se baat kar rahi ho? Uska msg tha kya?
Twinkle: Ji bhai! Lagta hai aaj wo apne faisla batane wale hai. Hum lunch keliye mil rahe hai.
Kunal: All the best.
Twinkle: Thank you bhai.
Ohri’s café
Kunj: Jo tumne boli thi meine uspe ek faisla liya
Twinkle: Kya?
Kunj: Mein soch raha tha ki 6 mahine baad tum settle hojaaugi to uske baad family se baat karenge shaadi ke baare main
Twinkle: 6 Mahine? Oh my god. This is very long duration.
Kunj: Par tumko settle hone mein 6 mahine to pakka lagega. Ek semester to baaki haina.
It is revealed that kunj is speaking with mishit
Mishti: Aap sahi bol rahe ho bhai. Par aaphi ma ko samzhau.
Kunj: Wo tum muzhpe chod do.
Twinkle: matlab 6 mahine ka mere pay slips aapko chahiye.
It is revealed that twinkle is speaking with kabir sharma (Vijayendra Kumeria)
Kabir: yes. Agar aapke bhai ka suirity hote to kaam ho jaayega. Muzhe ek baat samazh nahi aata, aap itne bade business background se ho to personnel loan apply karne ki kya jaroorat thi?
Twinkle: Kabirji! Mein job hi karna chahti hun, apni dum pe karna chahti hu bina kisiki help na liye. But thanks to you, aap muzhe yeh sab samzha rahe hai.
Kabir: It’s ok. Classmate keliye itna to kar sakta hoon.
Twinkle: Thank you.
Twinkle and Kunj left from the café at the same time, but unfortunately they didn’t cross their paths.
Sarna mansion
Kunj: Ma meine misti se baat kiya. Uske semester khatam hote huye humaare company mein uski job lagwadunga. Tab wo independent banjaayegi. Phir hum uski shaadi karwasakte hai.
Usha: Theek hai.
Kunj: maa ab aapka kaam hai papa aur bebeko smajhana hai.
Usha: Bebe se tum baat karna
Kunj: Nahi maa! Shaadi ke baat se wo mere peeche padi rehti hai. Aur abhi mein shaadi nahi karna chahta.
Usha: Phir kab karoge. Alisha ke papa pooch rahe hai.
Kunj: maa yeh naya project khatam honedo.
Bebe comes from behind.
Bebe: Aur yeh tumhaara so called naya project kab tak khatam hoga.
Kunj: Ji wo bebe. Bhot jaldi.
Bebe: Aur uske baad naya project aajayega. Phir tum shaadi taal doge. Yeh kab tak chalega.
Kunj: Bebe! Abhi mein shaadi keliye tayaar nahi hoon. Jab time aayega mein khud hi bataunga.
Bebe (sarcastically): pata nahi time kab aayega.
Kunj: Fikar mat kariye meri cutie. Aayega.
Taneja mansion
Twinkle came home with little disappointment.
Leela: Kya hua beta?
Twinkle: Kuch nahi maa.
Kunal: kabir ke saath tera meeting kaisa hua. Wo maan gaya
Raghav: yeh kabir kaun hai?
Twinkle: Clg mein mera classmate tha papa. Now he is working as a bank employee.
Raghav: Are you in a relationship with him.
Twinkle: No papa. Bilkul nahi. Woh… Woh…
Kunal: Papa woh…
Raghav: Kunal tum nahi. Twinkle tum batao. Kabir kaun hai. Jo kuch bhi hai sach sach batade
Twinkle: Papa woh, mein boutique kholna chahti hu. Toh meine loan keliye apply kiya. Kabir mera help kar rahe hai.
Raghav & Leela: Tumne hume bataya tak nahi.
Leela: Tu muzhe dost samazhtiho na, toh kam se kam muzhe batadete.
Twinkle: Aisa nahi ma. Aaj mein sab batana chahti thi.
Raghav: Kunal tumse yeh ummeed nahi tha. Are humaare bachonke zindagi mein kya chal raha hai, itna to haq haina hume. Tum log itna badi baat humse chupaaye.
Kunal: Aisa nahi hai papa.
Twinkle: Papa humne sochaki
Raghav: Kya socha twinkle, tumlog toh ek pal mein hume paraya kar diya. Meine tumhe kabhi bhi roka. Nahi na. Waise bhi tum jo kuch bhi karna chahti ho humesha hum tumhaare saath rahenge beta. Uskeliye loan apply karneki kya jaroorat thi. Itna to hum apni beti keliye kar sakte hai.
Twinkle: Isliye meine aapko nahi bataya. Jo kuch bhi mein karna chahti hu apne dumpe karna chahti hu, bina kisi sahaare liye. Kabir bhi muzhe rules samzharaha tha bas aur kuch nahi.
Twinkle (mind): Sach yeh hai ki humaare company loss mein chal raha hai. Itne mein agar mein apni baat batadoon toh aap pe bhoj banjaaungi.
Raghav: theek hai. Jo hogya so hogya. Ab kya karna chahti ho.
Twinkle: Papa, jo kuch bhi loan keliye meine apply kiya, meri business khada karnekeliye 6 mahine ki pay slips maag rahe hai as a suirity. Toh, mein kahi pe job karna chahti hu.
Raghav: toh humaara company haina.
Twinkle: nahi papa, mein humaare company mein job nahi kar sakti. Aisa karti to muzhe apne office mein ek employee tarafse nahi ek bosski taraf se dekhenge, jo mein nahi chati. Toh mein kisi aur jagah job karungi.
Raghav: Theek hai. Par jo kuch bhi karogi samhaalke karna.
Twinkle (cries): Thank you papa. I am sorry, yeh sab aapse chupaane keliye.
Raghav: Theek hai beta. Par jo kuch bhi chahiye, yeh mat bhoolna ki hum tumhaare saath hai.
Sarna mansion
Living room. Elders of the family having tea. A voice comes from behind: Surprize
Manohar: Alisha (aditi gupta) bête. Tum yahan achanakse
Alisha: bas yuhi. Aap sabse milna chahti thi.
A person beats Alisha on her head from behind and says: jhooti kahi ki
Manohar: Are yash, tum yahan….?
Yash: actually monu, mein ek projectki silsile mein delhi aaya tha, toh meine socha ki tumhe bhi aake surprise kardu.
Bebe: Acha kiya yash beta ki tum yahan aaye.
Yash: Pranam bebe aap kaise ho?
Bebe: theek hu puttar. Tum log kaise ho.
Yash: theek hai bebe.
Alisha: Pranam bebe.
Bebe: Alisha puttar, tum kaisi ho.
Alisha: Theek hu bebe. Hello Usha aunty. Kaisi ho aap
Usha: Hello Alisha beta.
Mishti: hey Alisha, what a sudden surprise.
Alisha: hey mishti… Hai..
Usha: yash bhaisaab, Alisha beta. Tum log fresh hoke aajao, breakfast keliye.
Alisha: Aunty.. Kunj kaha hai? Dikh nahi raha.
Everyone there giggles and Alisha blushes.
Usha: Aatahi hoga, Tum fresh hoke aajao.
Alisha: Ok aunty.
At breakfast table
Kunj: Maa tab se aawaje sun raha hu. Kaun aaya hai.
Manohar: Yash aur
Alisha from behind: Hello kunj.
Kunj (thinking): OMG! Aagayi, ab meri dimaag khayegi.
Kunj (fake smile): Hai Alisha. Pranam yash uncle
Yash: jinda reh puttar.
Kunj: Kaise ho uncle.
Yash: Theek hu beta.
Alisha: Hmmm… hum bhi yahan hai. Hume bhi wish karsakte ho
Kunj: Kaisi ho Alisha.
Alihsa: all well. Tum kaise ho.
Kunj: Hm.. I am good.
Usha: Bhaisaab aayiye naashta taiyaar hai.
Alisha: Wow gobi ke parathe. I love this. Aunty aap bahot sweet ho.
Kunj murmers: Sweet bolte bolte unhe mat kha jaana.
Bebe: Kunj! Sh.. sunaayidega.
All have funny chitchat with each other. Then they came to living room.
Manohar: Yash yeh batao. Tumhe kaha kaam hai?
Yash: Muzhe Gurgaon jaana padega.
Manohar: mere gaadi leke chali jaau
Yash: nahi, meine address dediya, woh log gaadi bhejenge.
Alisha: Aunty muzhe delhi haat jana hai. Suna haiki bahot sundar hai.
Bebe: Hum sham ko chalenge. Khoob shopping karna wahanpe
Mishti: Bahi! Aap bhi chalona. Bahot mazaa aayega.
Kunj: wo.. meeting
Bebe: Kunj beta, agar meeting haito hum tumhaare office pahunch jaayege. Hum wahan se chalenge.
Kunj: Ji bebe. Ab mein nikalta hoon. Bye yash uncle
Alisha: Bye kunj.
Kunj: Bye.
At night at delhi haat..
Twinkle came with friends and kunj came with family. Twinkle can’t able to reverse her car due to Kunj’s car. At the same time, kunj came and they have left to their respective homes. Unfortunately, they didn’t crossed their paths.
The post KISMAT KA KHEL TWINJ – Episode 3 appeared first on Telly Updates.
0 comments:
Post a Comment